kutch kagazo ka lifafa aaya
na tha mera naam ,
na ghar ka pata
phir bhi kisi ne mere ghar poohchaya
pehle kagaz mein kutch baatein likhi thi
padhkar laga yeh toh woh sari raatein likhi thi
dusra kagaz maine kyoun padha
padhne ke baad yeh khayal aaya
tessara mein pura padh nahi paya
saach kahu toh ek haad ke baad mein seh nahi paya
kiska tha yeh ..kis ke liye tha yeh
in sawaalo ka jawaab mil nahi paya
phir bhi tasali hai
mere jaisa akela kahi koi aur bhi hai
Monday, September 7, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

No comments:
Post a Comment